Wednesday, August 20, 2014

Bheed me khota jaa raha hai tu....

Wrote this long back...

Bheed me khota jaa raha hai tu,
aisa bhi kya paa raha hai tu.
Apne hi dil ki awaaz mund kar,
duniya ki sunta jaa raha hai tu.
aisa bhi kya paa raha hai tu.

Khayalon ko hakikat ka aina dikha kar,
sapno ko apne kahi sulakar,
bas jagta hi jaa raha hai tu,
aisa bhi kya paa raha hai tu.

Jeevan ke yudh me yodha ban kar,
chal raha hai tu apni aakhen band kar,
sangarsh ki lapton me khushiyon ko jala raha hai tu,
aisa bhi kya paa raha hai tu.

Andhi daud me bhag raha hai tu aise,
sudbudh gava diya ho kisine jaise,
jeene ka lutf kaha utha raha hai tu,
aisa bhi kya paa raha hai tu